Safar mera tera janan
Agar chalta raha aisa
To rastey bhool jayengay
Bhatak jayengay ham dono
Muhabbat ka jo sahra hay
Bari hein mushkelein is main
Yahan par pyas ki shiddat
Yahan par dhoop ki hiddat
Nazar jati hay jis bhi simt
Wahan bas dhoop hay tapti
Na saya hay na hay pani
Na badal ki hay parchayi
Jo aisey main kabhi janan
Koli teri main zulfo ko
Mera saya bana daalun
Tunhe apna bana dalun
To kaisa hay?
To kaisa hay kabhi gar ham
Kisi jungle may aa puhunchey
Wahan par raat ho tandi
Tumhe dar ho khanoshi ka
Tumhe main bazo'on main lon
Teri thandak chura lon main
Tere sab dar meta dun main
Safar aisa ho gar apna
Bhatakna theek hay Janan
Tarapna theek hay apna
Jahan main hun jahan tum ho
Wahan sehra na tanhayi
Wahan na pyas na garmi
Wahan apna basera hay
Chalo pher kho hi jatey hein
Tumhare ho hi jatey hein
it is confirmed that harmony, rhythm and beats come naturally, and effortlessly...
I am curious and wondering who was that guy, Saeed jan? _Soul
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
lambi musafto ko kahen bhol jate hai... ao kar lo dosti....... mohabbat ko chor jate hai ae moat kar lo dosti... mohabbat ko hum bhol he jate hai