Bin tere ye zindagee meree adhoori hai,
Mal o zar se khali ho jaisee thijoree hai...
Kabtalak youNhi bhatkooNga teree raahoN meiN,
Aa bhi jaa...., Ab teree vaapasee zarooree hai...
Chooke thuj koo tere paas sey guzar ke aaeye,
Woh hava ka jhonka bhee merey liyey louree hai...
Chand key Aashiq hazaroN haiN is jahan meiN,
Us ki chaahath kis sey hai yeh janna zarooree hai...
Yaad sabhee ko aathi hai diya kee bus andheroN meiN,
Yeh nahee hum dekhtey roushnee hai ya andheree hai...
Hai samundar sa piyaas hum ko par kiya kareN Salamath,
Ek boond paani kaa halque sey utarnaa bhi bharee hai...
Abduhoo Salamath.
The memories of the beloved are celebrated in a beautiful choice of words. The pangs of lost love mixed with a sweetness of remembrance....a beautiful piece. Loved it.10
aa vi ja ki teri wapsi jaruri hai beautiful, kya khub likha hai...
Wah wah....Kya khoob nazm hai......Ek ashar aapki nazm se pesh -e-nazar hai...10 Chand key Aashiq hazaroN haiN is jahan meiN, Us ki chaahath kis sey hai yeh janna zarooree hai.. Maza aagaya.Janab Abduhoo.. Dil ki baatein badi pechida hoti hai Sirf ankhon se bayan hoti hai, zaban se jannana kya zaruri hai? ? ? ?
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Bahut khoob. Bahut maza Aya padhne meiN..