Kbhi Chuka Na Paoongi...[dedication To Maa]
Rating: ★4.2
tere anchal ko thaama to socha,,
isse choot na paoongi..
tu meri zindagi hai,, tujhse dur kasie jaoongi..
yeh zindagi nahi tera
karz hai mujhpar..
jise kbi chuka na paoongi
dur jate jab dekha tujhe
, to socha yeh ansu kaise chhupaoongi..
sambhala khud ko sochkar,
ki tujhke khudmei paoongi..
teri hi chhavi aayegi nazar,
jb aaine k samne aoongi..
socha milungi jb tujhse to tujhe,
to ansu se bheege takiye ki dastan sunaoongi...
par socha fir kya kabhi ujhe bata paoongi...
kitna yaad kiya hr pal tujhe,,
, kya bata paoongi..
is duniya mei sbse zaada cha tujhe,
pr kaise jataoongi..
meri duniya ye duniya nahi tu hai,
pr kaise ye tujhe samjhaoongi..
kya apne aansu dikhakar.tujhe bhi rulaoongi..
aaj tak tu mere lie muskuraai hai ma,,,
to aaj mai tere lie muskuraoongi..
jisse aaye tere chehre pr muskaaan,,,
har woh wajh dhoond laoongi...
ye zindagi tera wo krzz hai maa
jise mai kbhi chuka na paoongi.....
shraddha.........