Khirkee Se Jhaanktee Rahee Tanhaii Raat Bhar! Poem by Aarzoo Mehek

Khirkee Se Jhaanktee Rahee Tanhaii Raat Bhar!

Rating: 5.0


Kamrey men maiN thee aur miree parchaayee raat bahr
khiRkee se jhaaNktee rahee tanhaayii raat bhar

sangeet mera sun ke bahate they ashk log
birha ke raag meN bajee shahnayee raat bhar

chhaaley jigar ke phooTe rawaN ashk ho gaye
zakhmoN se choor tha dil-e saudaaii raat bhar

kaanTe bhi rahguzr meN they manzil bhi door thee
thee humsafar tou bus miree tanhaaii raat bhar

jisne diya judaaii ka gham aur sitam kiye
aaya hai hum ko yaad woh harjaaii raat bhar

Toofaan.e gham meN Doob gaayee jab se dil ki naao
hum naapte haiN darya ki gahrayee raat bhar

Tou door hai tou kya tire gham tou hai mere paas
Jalne ki tere gham meN saza payee raat bhar

Woh aayega zaroor yeh dil ko yaqeen tha
Hum ko Khushe meN neeNd kahaN aayee raat bhar

Ai 'Aarzoo' yehee tou huua hai tamaam umr
Hum jaagee soya chain se harjaaii raat bhar

© Aarzoo Mehek

Khirkee Se Jhaanktee Rahee Tanhaii Raat Bhar!
Friday, April 29, 2016
Topic(s) of this poem: alone,night,storm,window
COMMENTS OF THE POEM
Rajnish Manga 19 July 2020

Iss khubsurat ghazal ke liye shukriya.

0 0 Reply
Abduhoo Salamath 23 August 2016

jisne diya judaaii ka gham aur sitam kiye aaya hai hum ko yaad woh harjaaii raat bhar Toofaan.e gham meN Doob gaayee jab se dil ki naao hum naapte haiN darya ki gahrayee raat bhar.. kia andz e bayan hai...bahuth khoob..+10 +++

0 0 Reply
Me Poet Yeps Poet 04 August 2016

badi arzoo theie kee padein poetry arzooo kee aaj poorrie huee arzoo hummaree raaaat kee tanhai gayeeee

0 0 Reply
Talab . 07 May 2016

Lovely! Beautiful maqta. Also loved kaante bhi raahguzar mein the...

1 0 Reply
M Asim Nehal 29 April 2016

Kab din guzar gaya, kab Raat ho Gayi Lo humne bhi guzaaR di padhne mein Raat bhar.... Tou door hai tou kya tire gham tou hai mere paas Jalne ki tere gham meN saza payee raat bhar....Loved it....1000++++

5 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success