Shaam K Baad! (Urdu) Poem by Shahzia Batool

Shaam K Baad! (Urdu)

Rating: 3.9


Hum jhatak detay hen ehsas tera shaam k baad
phir bhi kyun lgti he be-aas nigah shaam k baad

dil sar-e-shaam hi iss tarha sulag uthhta he
jis tarha taaq pe jalti he shama shaam k baad

yeh to naadan say bachhay ki tarha rota hay
mangta rehta he subho ki faza shaam k baad

jaanay kis khass khilonay ki talab hay iss ko
dil ko bhaati nhi taaron ki zia shaam k baad

koi sa'yil ya farishta he khuda hi janay
dard lehjay me jo deta he sada shaam k baad

mujhko charhtay huay suraj ki tarha kafi hay
jalta rehne do koi ek dia shaam k baad

seh peher tk to zamaanay say mila kartay hen
khud say hoti hay mulaaqat sada shaam k baad

in hi lamhon me ibaadat ka maza milta hay
kyun k milta he haqeeqat me khuda shaam k baad

khol kr arsh k taalon ko khuda betha hay
kese lotay gi bhala maa ki dua shaam k baad

dekh kr teray charaaghon ko palat jaati hun
mujh se kehti hay meri dost hawa shaam k baad

abr barsa nhi dil khol k shayad uss ko
ghairat-e nafs ne ronay na dia shaam k baad

itni heraan Batool aj hay khud pr kyun k
aaj hr giz na ussay yaad kia shaam k baad...

COMMENTS OF THE POEM
Wahab Abdul 24 April 2012

i don't know chaste urdu but still i can understand the essence of the poetry, the poem is in beautiful form and it got beautiful flow.....i like the poem.

0 0 Reply
Ramesh Rai 25 April 2012

Shaam k baad ki fiza rangin hoti hai, har koi talashta ek nai suraj har shaam k baad. itni herran n ho batool shaam k baad, ek nai subah aayegi har shaam k baad. xlent

0 0 Reply
Indira Babbellapati 25 April 2012

why not in english about what happens after the evening?

0 0 Reply
Jazib Kamalvi 30 April 2017

(seh peher tk to zamaanay say mila kartay hen khud say hoti hay mulaaqat sada shaam k baad) bahut pasand aaya. Jaan e ghazal shair hai. But......

0 0 Reply
Kavita Singh 29 August 2016

dil sar-e-shaam hi iss tarha sulag uthhta he jis tarha taaq pe jalti he shama shaam k baad wah wah...awesom poem

0 0 Reply
Jahan Zeb 08 November 2012

yeh to naadan say bachhay ki tarha rota hay mangta rehta he subho ki faza shaam k baad seh peher tk to zamaanay say mila kartay hen khud say hoti hay mulaaqat sada shaam k baad This is the best piece I have ever read in Urdu. All the verses have a complete thought in them. You are an amazing writer. You have reached heights. I really appreciate the the fascination you have in your words. Amazing write.

0 0 Reply
Shashank Dwivedi 01 May 2012

awsome......poem really touched my heart....nice creation

0 0 Reply
Allemagne Roßmann 26 April 2012

mujhko charhtay huay suraj ki tarha kafi hay --i specially love this line.Straightaway scolding of the sun and saying-Hey Sun or Aftab suno-your heat is not enough for me.The alliteration Shaam ke baad creates really a whirlwind.Lagta hain sham ke baad hi ishq ki shama jalegi. Sohne Sajjana Da Mehnga Bhaa Lagge Je Deve Dhokha Yaar Ohi Ek Pal Jeen Lyi Na Sah Labhe Has-Has Ke Jindgi Jeen Vala Ro-Ro Ke Maut Da Rah Labhe Thought well and scripted well.....i can only say after this sleep well..

0 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success