Ye Khamoshi........ Poem by M. Asim Nehal

Ye Khamoshi........

Rating: 5.0

Ye khamoshi kabhi, Karwati hai ehsaas
Zindagi se, zinda hone ka
Takra jaati hai tufanon se,
bin soche sahil ka
Machalti hai jazbaat mein kahin
Ud jaati hai fizaon mein kabhi
Laut aati hai yadein ban phir, Ye khamoshi

Ye khamoshi, badi dilchasp hai
Tanhayi mein hoti hai sath sabhi ke
Khushi mein gumm jaati hai kahin
Khlte rehti hai nit naye khel dilon se
Ankhon mein chup jaati hai kahin

Muskurahat bhi ek khamoshi hai
Labon pr utar aati hai kabhi
Daman se bandhi hai hum sabhi ke
Dhunde nahi milti
aur rehti hai hum mein hi kahin

COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 05 June 2017

Bahut kutch bolne ko dil chahta hay, bahut kutch likne ko dil chahta hay magar maslehateN ade aa jati hayN. Eke khoobsoorat nazm.

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 04 July 2017

This is very nice and pleasing Ghaazal. Mind thinks to tell many things and experience many things but this does not happen easily. Smile with shyness does magic on face. Still mind feels everything. An amazing poem is shared with wise expression....10

1 0 Reply
Nosheen Irfan 13 June 2017

Silence is not just the absence of words, it's deep. Sometimes a bliss, sometimes a pain. Beautiful write.

1 0 Reply
Madhuram Sharma 07 June 2017

bhot khubsurat.....khamoshi

1 0 Reply
Seema Chowdhury 06 June 2017

A heartfelt write, very deeply expressed skilfully. Thanks for sharing.

1 0 Reply
Savita Tyagi 05 June 2017

Nice Gazal. Silence has its own voice. It melts under skilled pen to express whatever it wants to say. Nice to read your gazal after a long time.

1 0 Reply
Close
Error Success