Dil me kasak si hai-
Kuch shoukiya, kuch tanziyan.
Aankh me name si hai-
Kuch khushi ke, kuch gam ke.
Dua o me kami si hai-
Kuch hamari hamari, kuch tumhari.
Hosh aaya pehle pehel to duniya ne hame parkhna chaha,
Humne duniya ko parkha to hum hosh khoke rah gaye.
Umeed ka daaman na chodna, ye hume sikhaya gaya,
Umeed ne daaman thama to apne aapse chootke rah gaye.
Usko mili shohrat jisne lafzon ke jaal me sabko phansa,
Humne khamosh jasbat riha kiye to zaleel hokar rah gaye.
Kabhi jashn-e - humsafar ki talash me ye dil bhi nikal pada,
Humsafar mila to dil ke safar me tanha hokar rah gaye.
Jab chehre pe thi hansi, mehfilon ne hume dhoonda,
Jis pal aansu chalak pade, hum sabko dhoondte rah gaye.
Taqdeer ki andheri ghaai se nikalna hi manzil-e-zindagi tha,
Gaai choota to roshan raah pe manzil khoke rah gaye.
Tah umr karwat-e-dard ne li hum me is tarah panha,
Ki Kisi din khushi ne li angdaai to hum sote rah gaye.
Tadapte siskiyon me dil humara ghut ta hi raha,
Par zamaane ke saamne aaye to muskuraate rah gaye.
boht khoobsoorat alfaaz hen...urdu mein farsi taraakeeb ka istemaal boht pasand he mujhe... a thoughtful write up...well-composed...!
feelings flowing or overflowing filling the blank with a poem. i am remembering the Socrates at near his death time saying mujhy is bat pr khushi hy k m ny wo gunah nhn kia jis ki mujhy saza mil rhi hy
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
A fabulous write.Keep penning.