Gham ke maaroN ki andheron men basar hoti hai
Sham.e gham ki bhi kahin koii sahar hoti hai
Usko bhi gham ki tarah dil men hi dafnate haiN
Kuch shikayat hameN apnoN se agar hoti hai
Dil bujha rahta hai muflis ke charaGoN ki tarah
Ab isee tarha harik sham basar hoti hai
Jis meN kanTe bhi bicheN moR bhi har gaam pe aayeN
Hum malaNgoN ki wohee raahguzar hoti hai
ashk ho jate haiN tareek shaboN meN raushan
Inhee ashkoN ke sahare tou basar hoti hai
Ik musafir bhi agar saye se mehroom rahe
Ai shajar! ismeN bhi tauheen-e shajar hoti hai
Kis ne kub kaise guzaree haiN shabeN ro ro kar
"Aarzoo" iski kahaN unko Khabar hoti hai
© Aarzoo Mehek
Excellent. I don't know why are aloof. Please keep penning. For this poem 5 stars.
ashk ho jate haiN tareek shaboN meN raushan Inhee ashkoN ke sahare tou basar hoti hai Ik musafir bhi agar saye se mehroom rahe Ai shajar! ismeN bhi tauheen-e shajar hoti hai... wah, ..waah, ...wah, ..waaah..kia kehney hain...aisa lagta hai shairee aap ka takia kalam hai...
Kahin koii sahar! The sun is always there waiting for you; to give you hope when you are down. Thanks for sharing.
Wah wah.. Kya umda ghazal hai..Masha-Allah...Aapka anda-e-bayaaN kuch nirala hai.....10+++ Ik musafir bhi agar saye se mehroom rahe Ai shajar! ismeN bhi tauheen-e shajar hoti hai Kis ne kub kaise guzaree haiN shabeN ro ro kar Aarzoo iski kahaN unko Khabar hoti hai
Khoobsoorat khyalat, mutasirkun Kalam, auor dilkash andaz-e-beyan.
This poem has not been translated into any other language yet.
I would like to translate this poem
Beautiful, beautiful...once again something I can relate to. The overpowering feeling of pain and loneliness flows through this poem and leaves the reader completely struck by its force and emotion. Great write.10 of course.