Laut Kar Tum Na Aana (Urdu Nazm) Poem by Aarzoo Mehek

Laut Kar Tum Na Aana (Urdu Nazm)

Rating: 5.0

Suno!
Laut kar ab kabhi tum mat aana

Mere dil ki mitti ko
Napaak apne kissi naqsh.e paa se na karna
Ye mitti jisse apne ashkon se sairaab main ne kiya hai
Ab us pe
Tumhaari jafa ke kissi zard mausam ka saaya nahi hai
Tumhe ab mere dil ke khaali shabistaan main khilte
Mohobbat ke khushrang phoolon se nisbat kahaan hai
Mere dil ki waadi
Ke jis main wafa ke parinde
Sar.e Shaam pedon pe apni duaon ke par kholte hai
Faza main mohobbat ke sur gholte hai
Mohobbat
Ke jiski muqaddas mahak main
Tumhaare kissi khwaab ka zaiqa tak nahi hai
Suno tum ussi shahar ko apna maskan bana lo
Jahaan chahaton aur jazbon se likhi hui har kahaani faqat
Jism ki bhook se munsalik hai
Jahaan khwahishon ke mahlaat main basne waale
Faqat apne taskeen ke muntazir hai

Suno
Laut kar na aana.....


© Aarzoo Mehek

Laut Kar Tum Na Aana (Urdu Nazm)
Sunday, December 27, 2015
Topic(s) of this poem: come back,hindi,nazm,urdu
COMMENTS OF THE POEM
Akhtar Jawad 27 December 2015

Khoobsoorat nazm jisne beintiha mutasir kiya, bahut pasand aai.

1 0 Reply
Aarzoo Mehek 27 December 2015

Pazeerai ka bohot bohot shukriya. Mamnoon.o mashkoor hun.

0 0
Dr Dillip K Swain 07 April 2022

Suno! Laut kar ab kabhi tum mat aana..........fantastic! A brilliant poem....Top score!

0 0 Reply
Rajnish Manga 14 December 2016

एक अज़ीम नज़्म. इसमें एक टूटे हुये दिल का दर्द ही नहीं, बग़ावत की आमादगी भी नज़र आती है. ऐसी प्रभावशाली रचना कम ही देखने को मिलती है. शुक्रिया आरज़ू महक जी. यह नज़्म मेरी पसंदीदा कविताओं में शामिल हो रही है. कुछ पंक्तियाँ नीचे उद्धरित कर रहा हूँ: मेरे दिल की वादी / के जिसमे वफ़ा के परिंदे सरे शाम पेड़ों पे अपनी दुआओं के पर खोलते हैं फ़ज़ा में मुहब्बत के सुर घोलते हैं सुनो तुम उसी शहर को अपना मसकन बना लो जहां.... हर कहानी फ़कत / जिस्म की भूख से मुनसलिक है.

1 0 Reply
Edward Kofi Louis 25 March 2016

Ke kissi zard! Thanks for sharing.

1 0 Reply
Gajanan Mishra 03 January 2016

kya baat hai, I like it most, shukriya..

1 0 Reply
M Asim Nehal 03 January 2016

Wah wah kya baat hai........Dil choo jana wali nazm hai, umda.

3 0 Reply
Aarzoo Mehek 03 January 2016

Shukriya pasand farmaane ka.

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success