Mahak Rahee Hai Faza 'aarzoo' Ke Sheron Se Poem by Aarzoo Mehek

Mahak Rahee Hai Faza 'aarzoo' Ke Sheron Se

Rating: 5.0

Kiye haiN jispe dil.o.jaaN niSaar tou hi hai
Elaj.e dard.e dil.e beqaraar tou hi hai

Chaman ka rung guloN ka nikhar tou hi hai
Mire liye tou mujassam bahar tou hi hai

Chupa hai qatraa.e aaNsu meN tera wada.e ishq
Kiya tha jis pe kabhi e'tbaar tou hi hai

Woh chund Khuwaab jo din meN bhi maiN ne dekhe the
To aise KhuwaaboN ki t'abeer yaar tou hi hai

Tamam duniya ko choRa hai sirf tere liye
kiya hai jis se sada maiN ne pyaar tou hi hai

Yeh dil ke jis ne kisee ko kabhi pukara nahiN
Pukarta hai jise baar baar tou hi hai

BhaNwar meN gham ki maiN kashtee ko apni ley aayee
Mujhe khabar thee keh darya ke paar tou hi hai

Basa liya hai tujhe apne dil meN chupke se
Ke raaz.e ishq ka ik raazdaar tou hi hai

Mahak rahee hai faza 'Aarzoo' ke sheroN se
Aur is mahak meN basa mere yaar tou hi hai

© Aarzoo Mehek

Mahak Rahee Hai Faza 'aarzoo' Ke Sheron Se
Sunday, October 9, 2016
Topic(s) of this poem: love and dreams,waiting
COMMENTS OF THE POEM
Prem Nizar Hameed 27 July 2020

Wa! La jawaab, Arzoo! What a mellifluous Ghazal it is! ! !

0 0 Reply
Jagdish Singh Ramána 25 April 2020

Kya khoob ghazal h dear poet. Matla, husn e matla aur khaaskar maqta ajab Khoob! ! Let me quote: " Mahak rahee hai faza 'Aarzoo' ke sheroN se Aur is mahak meN basa mere yaar tou hi hai"

0 0 Reply
Unnikrishnan E S 19 October 2016

Loved reading the beautiful poem of love.. A ghazal garnished with the colors and fragrance of spring called love. Fantastic. A natural shahir/poet at her best! Great! 100+

0 0 Reply
Nosheen Irfan 12 October 2016

Exactly the air is fragrant with your poetry. Coming straight from the depths of heart. A beautiful rendering of love and dreams. A 10

1 0 Reply
M Asim Nehal 09 October 2016

Masha-Allah, Bahut shukriya is behad khubsoorat ghazal se farmaish puri karne ke liye...... Aapki ghazalon mein sachchai, bholapan aur saadgi ek sath jhalakti hai...Dil se likhi baat seedhi dil mein utarti hai.....Crore daad....100++++ BhaNwar meN gham ki maiN kashti ko apni ley aayee Mujhe khabar thee keh dariya ke paar tu hi hai.......... Jis yakeen ke sath is safar ka aghaz kiya aapne...uska anjaam bhi kuch kam nahi raha.... Mahak rahee hai faza 'Aarzoo' ke sheroN se Aur is mahak meN basa mere yaar tou hi hai...... Thank u so much for honouring my request...Allah Aapko Khushiyon se, sehat aur aafiyat se nawaze...Aameen.

3 0 Reply
Aarzoo Mehek 12 October 2016

Thank you so much for such beautiful feedback Asim. Dost ki farmaish sar ankhon par. I thank you for being a part of this poetical journey. God bless.

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success