Aise Lafz Kahan Se Laaoon! Poem by Aarzoo Mehek

Aise Lafz Kahan Se Laaoon!

Rating: 4.9

kaise kahooN maiN Haal jahaN se
Sub ko lageN ehsaas jawaN se
Aisee ghazal ko laaooN kahaN se
Kaise sub ka dil bahlaaooN
Aise lafz kahaN se laaooN!

Jis meN Husn-e yaar chupa ho
Geet, keh jis meN rung-e hina ho
Jis meN har mausam ka maza ho
Woh ehsaas kahan se paaooN
Aise lafz kahaN se laaoN!

Gulshan gul ki shoKhee de dey
ChaaNd bhi apni chandni de dey
Saba fazayeN mehki de dey
Jin se subke dil ko lubhaaooN
Aise lafz kahaN se laaoN!

Jin meN pyaar ki sauGaateN hoN
Kuch meeThee meThee bateN hoN
Saath meN hijr ki behee raateN hoN
Jin se main shayar kahlaaooN
Aise lafz kahaN se laaoN!

"Aarzoo" shokh adaayeN bhi hoN
Geet meN dil ki sadayeN bhi hoN
Qahqahe bhi hoN aaheN bhi hoN
Sub ko haNsaooN sub ko rulaaooN
Aise lafz kahaN se laaoN!

© Aarzoo Mehek

Aise Lafz Kahan Se Laaoon!
Thursday, January 28, 2016
Topic(s) of this poem: hindi,nazm,urdu
COMMENTS OF THE POEM
Abhilasha Bhatt 28 January 2016

Saath meN hijr ki behee raateN hoN Jin se main shayar kahlaaooN Aise lafz kahaN se laaoN! ..... A very beautiful and truthful poem.....loved it....thank you for sharing :) Muskaan aye labon par padkar Rote hue dil ko khushi de jaun Apni har nazam main Aise lafz kahan se laaoon..

2 0 Reply
Kavita Singh 06 February 2016

kaise kahooN maiN Haal jahaN se Sub ko lageN ehsaas jawaN se Aisee ghazal ko laaooN kahaN se Kaise sub ka dil bahlaaooN wah wah...aisa lafz kaha se laun....

0 0 Reply
Souren Mondal 03 February 2016

'Sub ko haNsaooN sub ko rulaaooN Aise lafz kahaN se laaoN! ' Sach mein hai mushkil dhunda aise lafz, jin se mile ye sab ek saath.. Khoobsurat nazm hai. Sukhriya.

0 0 Reply
Edward Kofi Louis 02 February 2016

Letters! With the memories of the past; being able to teach others. Nice work.

0 0 Reply
Akhtar Jawad 28 January 2016

Zindigi ayse alfaz khud hi deti hay bas zara mahsoos karna padta hay. Apne mahsoos kiya, kheyalat mile auor alfaz ka jwar bhata seepion ko sahil per lekar aa geya. Aap seepian kholti raheen, mayoosian sametti raheen, bilaakhir wh seep mil hi gayee jisse moti nikla aur phir wuh ek khoobsoorat nazm ban geya.

1 0 Reply
M Asim Nehal 28 January 2016

Lafz bhi mil gaye aur dil mein utar gaye, KAnoN ne sun liya woh tarana pyar ka Aankhon ne bhi dekh liya wo nazara Bahar ka Aarzoo puri hui in lafzon ke mehek se............. Subhan-Allah kya khubsurat nazm hai.....100+++++

3 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success