Yeh Sari Kaainaat Hamara Dayaar Hai! Poem by Aarzoo Mehek

Yeh Sari Kaainaat Hamara Dayaar Hai!

Rating: 5.0

Nafrat kareN ya pyar unhe ikhtiyar hai
Hum itna jante hain hameN un se pyaar haii

Hum woh haiN sarHadoN ka jo karte nahin lihaaz
Yeh sari kaainaat hamara dayaar hai

Pal bhar ko aa bhi jaao hamaari qasam tumheN
Mausam bahut haseen faza Khushgwaar hai

Hum ne na lab hilaye haiN ab tak na kuch kaha
Jo kuch suna hai tum ne woh dil ki pukaar hai

Mehngaaye ban gayee hai muqaddar ghareeb ka
Muflis ke lab pe aaj yehii ik guhaar hai

Malum hai chaman meN na aaye gee ab bahar
Phir bhi bahar hi ka hamen intezar hai

Jis ko na tha bharaosa kabhi mujh pe "Aarzoo"
Us befawa pe mujh ko bahut etbaar hai

© Aarzoo Mehek

Yeh Sari Kaainaat Hamara Dayaar Hai!
Sunday, January 3, 2016
Topic(s) of this poem: hindi,urdu
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 03 March 2016

Masha-Allah.....Lafz nahi hai mere paas ki mai tareef karoon is nazm ki....Subhan Allah... Hum ne na lab hilaye haiN ab tak na kuch kaha Jo kuch suna hai tum ne woh dil ki pukaar hai...........Wah wah...10++++++++

1 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 19 February 2016

Jis ko na tha bharaosa kabhi mujh pe Aarzoo Us befawa pe mujh ko bahut etbaar hai aapki mai fan ho gayi hoon.. you are a great poetess. I just love your words of expression.

1 0 Reply
Akhtar Jawad 04 January 2016

Bahut khoobsoorat ghazal hay, lajawab, khas taur se maqtah.

1 0 Reply
Aarzoo Mehek 05 January 2016

Pazeerai ka shukriya

0 0
Kumarmani Mahakul 03 January 2016

Love is very much expressive with wonderful imagery in this marvelous poem shared. Having love is definitely nice. Fine poem shared.10

0 0 Reply
Aarzoo Mehek 05 January 2016

Glad you like this ghazal. and thanks for the points.

0 0
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success