Ashk Bhi Beshumaar Laayee Hoon! Poem by Aarzoo Mehek

Ashk Bhi Beshumaar Laayee Hoon!

Rating: 5.0

Dil meN tere hi Gham ka toofaaN hai
Teri Hasrat hai tera armaaN hai
Bin tere zindagee biyaabaaN hai
Daaman-e taar taar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN

Roz sheshey ki Tarha TooTee hooN
Bunke reze zameeN pe bikhree hooN
phhoT kar tere gham meN royee hooN
ik dil-e beqaraar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN


Aah-o naala ka ik samander hai
Rooh zaKhmee hai dil bhi muztar hai
Ik ajab aag dil ke ander hai
Dekh lo Haal-e zaar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN


kab talak ro'ooN kab talak taRpoN?
kab talak TooT-TooT kar bikhrooN?
Kab talak raah-e dard se guzrooN?
Apne gham ki guhaar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN


ai Khuda "Aarzoo" ko Hairat hai
ishq teri hi ek n'emat hai
phir bhi bus Gham hi iskee qismat hai
Main dil-e daaGhdaar laayee hooN
Ashk bhi beshumaar laayee hooN


© Aarzoo Mehek

Ashk Bhi Beshumaar Laayee Hoon!
Sunday, January 17, 2016
Topic(s) of this poem: hindi,nazm,urdu
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 17 January 2016

Ghame-dil mein aur kya milega kuch ansoo, kuch tanhayi....Bahut khoob....10

2 0 Reply
Akhtar Jawad 17 January 2016

Lajawab auor mtasir kun nazm hay, Hakim Momin Khan Momin ki tarah takhallus ko bhaut khoobsoorati ke sath istemal kiya geya hay.

1 0 Reply
Kumarmani Mahakul 17 January 2016

There is cyclone of grief in mind and heart. I do not know up to how many days I have to cry but now I realize not to do so to feel love and life. This is entirely a thoughtful poem shared in wise mind. Wonderful drafting shared on.10

1 0 Reply
Aarifa Almas 12 March 2016

Phir bhi ghum hi iski qismath Hai.. Ek ek alfaaz aapke is ghazal ke mutaassir kar Dene Wali hain.. Ishq woh adaa jismei saza bhi aur maza bhi Hai...

1 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 26 February 2016

Aah-o naala ka ik samander hai Rooh zaKhmee hai dil bhi muztar hai Ik ajab aag dil ke ander hai Dekh lo Haal-e zaar laayee hooN Ashk bhi beshumaar laayee hooN Khubsoorat bol aur khubsoorat fann e izhaar bhi layee hoon! aapki tareef me hai. Qubool karein Aarzooji. aapki qalam me koi jaduu hai Khuda karam aap par bahut bada hai. aapki har poem har nazm har ghazal meri hausla afzaaii karti hai.

1 0 Reply
Mithilesh Yadav 28 January 2016

grrt penned mam ji............ ankhon ki ansuon sey un dosti si ho gyi hai........ mere dil aur dimag iljam lagatey hain ek dujhey pey....... jaisey meri deh koi aadalat si ho gyi hai........

1 0 Reply
Edward Kofi Louis 25 January 2016

Knowledge! To feel love with life. Hairat hai! Laaye hoon. Thanks for sharing this poem with us.

1 0 Reply
Edward Kofi Louis 25 January 2016

Knowledge! To feel love withv

1 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success