Boo-E Nafrat Se Ilahee Inhen Karde Aazaad! Poem by Aarzoo Mehek

Boo-E Nafrat Se Ilahee Inhen Karde Aazaad!

Rating: 5.0

yaad mehkaatee rahegee tiree sandal ki tarah..
aaj ki raat bhee guzregee miree kal ki tarah

woh mire kooNche meN aata hai chala jata hai
sookhe khetoN se guzar jata hai badal ki tarah

tum jo they door tou ik pal bhi tha mere liye din
aur ab din bhi guzar jate hain ik pal ki tarah

boo-e nafrat se ilahee inheN karde aazaad
dil bhi ho jayeN moAttar kise sandal ki tarah

mujh pe karna hai karam tum ko tou paiham karna
aarzi lutf hai eik jaur-e musalsal ki tarah

jis Taraf dekhiye bus jung ki tayyari hai
saree duniya hi nazar aati hai maqtal ki tarah

'Aarzoo' dil hai mira shahr ki maniNd magar
kitnee veeraani hai is shahr meN jungal ki tarah

© Aarzoo Mehek.

Boo-E Nafrat Se Ilahee Inhen Karde Aazaad!
Friday, March 4, 2016
Topic(s) of this poem: hate,loneliness,war and peace
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 04 March 2016

Unda Ghazal.......10++++++++++++++ 'Aarzoo' dil hai mira shahr ki maniNd magar kitnee veeraani hai is shahr meN jungal ki tarah

4 0 Reply
Ramesh Rai 23 March 2016

First of all I gave you full marks. Sabse achchhi line woh mire kooNche meN aata hai chala jata hai sookhe khetoN se guzar jata hai badal ki tarah

1 0 Reply
Abhilasha Bhatt 10 March 2016

tum jo they door tou ik pal bhi tha mere liye din aur ab din bhi guzar jate hain ik pal ki tarah.... Doori thi magar intzaar ka haq to tha Ab to doori bhi door hai aur haq bhi laapata.........amazing and beautifully narrated poem......thank you for sharing :)

2 0 Reply
Akhtar Jawad 10 March 2016

An amazing and wonderful ghazal by any standards.

1 0 Reply
Edward Kofi Louis 06 March 2016

Karde aazaad! Peace is the key than gatred and war. Thanks for sharing.

1 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 05 March 2016

tum jo they door tou ik pal bhi tha mere liye din aur ab din bhi guzar jate hain ik pal ki tarah boo-e nafrat se ilahee inheN karde aazaad dil bhi ho jayeN moAttar kise sandal ki tarah mujh pe karna hai karam tum ko tou paiham karna aarzi lutf hai eik jaur-e musalsal ki tarah .... aarzooji aapki is ghazal ne dil ku chhuliya.. behtereen andaaz e bayaan. i m always waiting for more from you.10+++++++++++++++++++++

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success