Aaja Keh Adhoori Hai Mohabbat Ki Kahani! Poem by Aarzoo Mehek

Aaja Keh Adhoori Hai Mohabbat Ki Kahani!

Rating: 5.0

gahra tha bahot ishq ke daryaooN ka paani
main Doob gayee paani meN naadaan divaanii

kuch sufHe abhee likhne ko baaqi haiN mire dost
aaja keh adhoori hai moHabbat ki kahani

main chup thee magar chhup na saka dard-e gham-e dil
aaNkhoN ne bata dee hai mire dil ki kahani

aa ja keh sunaaooN tujhe tanhaaye ke qissey
ro ro ke sadaa maiN ne guzaari hai jawani

us shaKhS ke ghussey men moHabbat bhi chupee hai
hai burhamee.e yaar moHabbat ki nishaanee

lagta tha mujhe tou mire pahloo meN kahiN hai
ik baar jo dekhi tiree tasveer puraani

HaNs haNs ke uThaya hai Sadaa bojh ghamoN ka
Ai "Aarzoo" is dil ne kabhi haar na maanee

© Aarzoo Mehek

Aaja Keh Adhoori Hai Mohabbat Ki Kahani!
Wednesday, February 24, 2016
Topic(s) of this poem: love
COMMENTS OF THE POEM
Souren Mondal 24 February 2016

Jaate hai chod ke hume woh jinshe mohabaat kiye hum Par na jaane chod kyun jaate hai peeche us mohabaat ke nishaniyaan, Yaadein, tasveerein, aur kuch ankahi bateen... Har na khatam huyi mohabaat ki shayad yahi kahani hoti hai... Ek behtareen ghazal Arzoo.. Dil ko chu gayi.. Sukhriya.10/10...

1 0 Reply
Aarzoo Mehek 24 February 2016

Pazeerai ka shukriya Souren. Ek ahoori kahani sabki zindagi ka hissa hoti hai...hai na Souren?

0 0
Souren Mondal 24 February 2016

Sahi kaha Arzoo.. Shayad humari zindigi inhi adhuri kahanio se hi banti hai.. Kambakhat sirf iss baat ki afsoos hoti hai, ke na ye sirf hasati, na sirf rulati hai - kabhi haste haste ro parte te hai hum, to kabhi rote rote has de te hai..

0 0
Uzefa Rashida M.a 24 February 2016

main chup thee magar chhup na saka dard-e gham-e dil aaNkhoN ne bata dee hai mire dil ki kahani.... behtereen kalmaat.....isi k mutaalakh humse bhi kuch sunleiN aankhonne meri mujhse kiye dhoke bahut hain kabhi humse wafaa ki na kabhi unse wafaa ki..

1 0 Reply
Aarzoo Mehek 24 February 2016

Waahhhh kya baat hai... ye kambakht ankhein humesha dhokha de deti hai.

1 0
M Asim Nehal 22 February 2019

Dil ko chooNe wali nazm hai, badi dil kash andaz mein bayan ki hai aapne " Ek Adhuri Kahani" Shayad is kahani ka Adhura Hissa kahin aur kahani mein mil jaye....

0 0 Reply
Akhtar Jawad 18 June 2018

My poem The Incomplete Love Story is a translation of this beautiful Ghazal.

0 0 Reply
Unnikrishnan E S 29 July 2016

Hi Mehak, Loved reading the gazal again and again. Exquisite. No more to say. Aa javo, ki sunaaoom tanhayee ke qissey. I am reminded of the famous song rendered by Noor Jehan Begum(?) : Kabhee tanhaaiyom mein Tumhari yaad aayagii Great work Aarzoo. Could we hear it in your voice?

0 0 Reply
Talab . 07 May 2016

Lovely. kuch safhe abhi likhne ko baaqi hain..... beautiful couplet!

1 0 Reply
Aarifa Almas 12 March 2016

Adhuri mohabbat ka izhaar bakhubi Kiya Hai aapne.. Great lines, great poem.

1 0 Reply
Close
Error Success