Aansuon Ke I'waz Hansee Bechee! Poem by Aarzoo Mehek

Aansuon Ke I'waz Hansee Bechee!

Rating: 5.0


Ishq meN hum ne har khushee bechee
AansuoN ke I'waZ haNsee bechee

Gham tumhara Khareed laaye haiN
Achchi qeemat pe zindagee bechee

Ishq-e JanaN miree ibaaadat hai
ye jo beecha to bundagee bechee

apna eemaan tou ne kya becha
Bagh.e Jannat ki aas bhee bechee

Kar hee Daala zameer ka sauda
Haai kya cheez qeemti bechee

"Aarzoo" zindagee se ghabraker
maut ke haathon zindagee beechi.

© Aarzoo Mehek

Aansuon Ke I'waz Hansee Bechee!
Thursday, June 23, 2016
Topic(s) of this poem: hindi,pain,tears,urdu
COMMENTS OF THE POEM
M Asim Nehal 16 February 2016

OUTSTANDING......Kuch bhi nahi bacha warna....Kharidaar hum bhi hote...Ansoo lekar moti banate aur, Unhe zindagi ki mala in pirote.....Ek khubsoorat nazm hai...Awesome. apna eemaan tou ne kya becha Bagh.e Jannat ki aas bhee bechee Kar hee Daala zameer ka sauda Haai kya cheez qeemti bechee

6 0 Reply
M Asim Nehal 17 February 2016

Unhe zindagi ki mala mein pirote

0 0
Edward Kofi Louis 16 February 2016

Beechi! Trying to overcome the Evil works of life; with the Sun bringing light to you. Nice piece of work.

1 0 Reply
Souren Mondal 17 February 2016

Bohoot hi khoobsurat ghazal hai Arzoo.. Mohabaat me hum khud ko bhi beech dete hai, chaye kuch mile ya na.. Yahi hai iski jadoo jo kabhi hume khushal to kabhi barbaad kar jate hai.. Sukhriya..

1 0 Reply
Unnikrishnan E S 29 July 2016

Hi Aarzoo, Ishq mein humne harr khushee bechee Aansuom ke i'waz hansee bechee .... Gham tumhare kharid laaye hain Acchee keemat pe zindagi bechee Fantastic poem. What a kalamiyaat! Beautifully rendered in music.

0 0 Reply
Aarifa Almas 12 March 2016

Aapke is ghazal se mutaassir hokar ek jumla mere dil se.. " tohfe Mei humne tujhe apni zindagi de Di, aur tu ne usi zindagi ko de bechee"

1 0 Reply
Uzefa Rashida M.a 20 February 2016

Aarzoo zindagee se ghabraker maut ke haathon zindagee beechi. Subhanallah! koi alfaaz aapke shahi yaaN a shaan mujhe nahi milaa. bahut pasand aayi aapki ye ghazal bhi.

1 0 Reply
Akhtar Jawad 17 February 2016

Kar hee Daala zameer ka sauda Haai kya cheez qeemti bechee Khoobsoorat ghazal, bahut pasand aai.

2 0 Reply
T Rajan Evol 17 February 2016

Wah wah padhkar dil khus hua aur ankhen bhar aayi.....

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success