Tu Na Tha Mere Mahr-O-Wafa Ke Qaabil! Poem by Aarzoo Mehek

Tu Na Tha Mere Mahr-O-Wafa Ke Qaabil!

Rating: 4.9

Har pal chaaha tha tere liye ek naya aasmaan
Jeene ko uksaati rahi deke sau-sau bahaane
Raat saari jaagti thi tere liye zindagi ki duon main
Khuda se maangti thi tere liye saare zamaane

Aaj wohi main hun wohi raat hai wohi tanhaai hai
Lekin aaj na wo baat hai na halaat hai na jazbaat hai
Jaagti hun tere yaad main lekin tadapti hun palpal
Aaj maangti hun KHuda se apne liye mout har pal

Teri bewafaai ne khoon rulaaya hai mujhe
Ab hogai hun nidhaal gham ke bojh se
Ya to doob jaaungi is gham ke bhanwar main
Ya ubhar jaaungi zindagi ki nayi sehar main

Tay karega waqt kis oor mujhko jaana hai
Dafn karke tujhko aur teri har ik yaad
Waqt ke saanche main dhal jaaaungi main
Tujh se duur bohot duur chali jaaungi main

Reh jaaiga tu bas ik kadwa pal bankar
Meri nas-nas main daudega zehar bankar
Nikaal dungi tujh ko apni zaat se ek din
Dafn kardungi tere har jazbaat ko ek din

Tu na tha mere mahr-o-wafa ke qaabil
Meri ghazlon-nazmon main ab tera ziqr hoga
Bewafaai ke qisse sangdili ke fasaane honge
'Aarzoo' ke ashqon se likhe afsaane honge.

© Aarzoo Mehek

Tu Na Tha Mere Mahr-O-Wafa Ke Qaabil!
Sunday, February 7, 2016
Topic(s) of this poem: betrayal,hindi,nazm,urdu
COMMENTS OF THE POEM
Mithilesh Yadav 09 February 2016

Tay karega waqt kis oor mujhko jaana hai Dafn karke tujhko aur teri har ik yaad Waqt ke saanche main dhal jaaaungi main Tujh se duur bohot duur chali jaaungi main all lines after this are actually reality........ grrt penned mam.... i like these stanzas because it shows the transformation phase before this it was expectations from some one and after these stanzas those are assesments score of some one once belived by some one.....

1 0 Reply
Dr Dillip K Swain 25 October 2023

Excellent. Aaj wohi main hun wohi raat hai wohi tanhaai hai....my favorite line! Top score for this thought provoking poem.

0 0 Reply
Edward Kofi Louis 14 February 2016

jazbaat ko ek din! Shattered love with past memries; but, hope always lies ahead with the faith of the truth. Nice piece of work.

1 0 Reply
Kavya . 10 February 2016

i just loved this poem. Just use the script in hindi to have a more better effect! this is for the betrayers: तुम तो बुझदिल निकले हमारे सच्चे प्यार को न समझ पाये लाख ढूँढोगे फिर भी हमारी तरह चाहनेवाला तुम्हे कोई न मिलेगा!

1 0 Reply
Souren Mondal 10 February 2016

'Reh jaaiga tu bas ik kadwa pal bankar Meri nas-nas main daudega zehar bankar Nikaal dungi tujh ko apni zaat se ek din Dafn kardungi tere har jazbaat ko ek din Tu na tha mere mahr-o-wafa ke qaabil Meri ghazlon-nazmon main ab tera ziqr hoga Bewafaai ke qisse sangdili ke fasaane honge 'Aarzoo' ke ashqon se likhe afsaane honge.' Bohoot hi khoobsurti se aapne dard ko yaahan kiya hai bayan.. Sach hi hai, bewafawi jab karna hota hai to lok ishq kyun karte hai? ? Jab jhoot mein hi jina sikhate hai, to phir sach bol ke kyun dukh de jaate hai? ? Ek sachme mehekti huyi ghazal Arzoo, jo dil ko chu ke aankhon me ansoon la gayi.. Sukhriya isse humse baat ne ke liye..

1 0 Reply
M Asim Nehal 09 February 2016

Gham ka fasana ban gaya achcha....Ye sham, ye tanhayiyan aur teri bewafiyan...Ek khubsoorat ghazal hai ye aapki...Bahut umda...10++++

2 0 Reply
READ THIS POEM IN OTHER LANGUAGES
Close
Error Success